Search This Blog

Tuesday, January 25, 2011

7 Khoon Maaf (2011) Hindi Music Album details and song listings with Lyrics

Song Details:-
Song Name: Darling
Film/Album: 7 Khoon Maaf
Singer(s): Usha Uthup, Rekha Bharadwaj
Music Director: Vishal Bhardwaj
Lyricist: Gulzar
Length: 3:28
Picturised on: Priyanka Chopra, John Abraham, Neil Nitin Mukesh, Naseruddin Shah, Irrfan Khan, Anu Kapoor

Lyrics of Darling Song



Hey darling, aankhon se aankhein chaar karne do
Darling aankhon se aankhein chaar karne do

Darling aankhon se aankhein chaar karne do

Roko na roko na mujhko pyaar karne do
Darling aankhon se aankhein chaar karne do
Roko na roko na mujhko pyaar karne do
Bekaif hai bahara, bechain jaane yaara
Bulbulon ko intezaar karne do
Darling aankhon se aankhein chaar karne do

Darling, sorry tujhe Sunday ke din, zehmat hui

Darling, milna tera fazle khuda, rehmat hui
Darling, sorry tujhe aate hue, sehmat hui
Darling, milna tera fazle khuda, rehmat hui, rehmat hui

Hey darling, khatim ko dil par toh ikhteyar karne do

Darling aankhon se aankhein chaar karne do
Roko na roko na mujhko pyaar karne do

Darling, chhodo zara, sharmane ka, yeh qaayda

Hey darling, hairat bhi hai, ghairat bhi hai, kya fyada
Darling, chhodo zara, sharmane ka, yeh qaayda
Darling, hairat bhi hai, ghairat bhi hai, kya fyada, kya fyada
Darling, public mein sansani ek baar karne do
Darling aankhon se aankhein chaar karne do
Roko na roko na mujhko pyaar karne do
Bekaif hai bahara, bechain jaane yaara
Bulbulon ko intezaar karne do
Darling aankhon se aankhein chaar karne do
Darling aankhon se aankhein chaar karne do, darling
============================================================
Song Details:-
Song Name: Bekaraan
Film/Album: 7 Khoon Maaf
Singer(s): Vishal Bhardwaj
Music Director: Vishal Bhardwaj
Lyricist: Gulzar
Length: 6:25
Picturised on: Priyanka Chopra, Irrfan Khan

Lyrics of Bekaraan Song


Bekaraan hai bekaraan
Aankhein bandh keejay na
Doobne lagey hai hum
Saans lene deejay na
Bekaraan hai bekaraan
Aankhein bandh keejay na
Doobne lagey hai hum
Saans lene deejay na
La ilaha illallah

Ik zara chehra, udhar keejay inayat hogi

Ik zara chehra, udhar keejay inayat hogi
Aap ko dekh ke badi der se meri saans ruki hai aap ko dekh ke
Badi der se meri saans ruki hai
Bekaraan hai bekaraan
Aankhein bandh keejay na
Doobne lagey hai hum
Saans lene deejay na
Bekaraan hai bekaraan
Aankhein bandh keejay na
Doobne lagey hai hum
Saans lene deejay na

Ik zara dekhiye toh, aapke paaon tale kuch toh, kuch toh atka hai kahin

Waqt se kahiye chale, udti udti si nazar, mujhko choo jaaye aa gaye
Ek tasleem ko har baar, meri aankh jhuki hai
Aap ko dekh ke badi der se meri saans ruki hai

Aankh kuch laal si hai, raat jaage toh nahi

Raat jab bijli gayi, darr ke baagey toh naye kya laga
Honth tale jaise koi choth ch hai
Jaane kya sochke iss baar meri aankh jhuki hai
Aap ko dekh ke badi der se meri saans ruki hai

Bekaraan hai bekaraan

Aankhein bandh keejay na
Doobne lagey hai hum
Saans lene deejay na
Aankhein teri bekaraan (aankhein bandh keejay na)
Aasman hi aasman (aankhein bandh keejay na)
Bekaraan hai bekaraan
Aankhein bandh keejay na
Doobne lagey hai hum
Saans lene deejay na
La illallah
=====================================================
Song Details:-
Song Name: O' Mama
Film/Album: 7 Khoon Maaf
Singer(s): K.K, Clinton Cerejo
Music Director: Vishal Bhardwaj
Lyricist: Gulzar
Length: 4:54
Music Label: Sony Music

Lyrics of O' Mama Song


O' Mama, O' Mama
O' Mama, O' Mama
Dil se hi ab sochta hai dil mera, O' Mama, O' Mama
Sar ko aksar nochta hai dil mera, O' Mama, O' Mama
Ab khair toh nahin, koi bair toh nahin
Dushman jiye mera, woh bhi gair toh nahi
Jo dil gaya gaya
O'Mama, O'Mama

O' Mama, kanche maare

Billi jaisi, aankhon wali
Ik myaun si ladki
O' Mama, O' Mama
Unghe kabhi, sunghe kabhi
Jhanke kabhi, aaun kabhi
Kabhi jaaun si ladki
O' Mama, O' Mama

Aise dabe paon aaye woh ki chaap na ho

O' Mama, O' Mama
Khwaab mein mil jaaye lekin woh khwaab na ho
O' Mama, O' Mama
Umeed toh nahin phir bhi umeed ho
Koi toh iss tarah, aashiq shaheed ho
Koi gaya gaya
O' Mama, O' Mama

O' Mama, kanche maare

Billi jaisi, aankhon wali
Ik myaun si ladki
O' Mama, O' Mama
Unghe kabhi, sunghe kabhi
Jhanke kabhi, aaun kabhi
Kabhi jaaun si ladki
O' Mama, O' Mama, O' Mama ..
==================================================
Song Details:-
Song Name: Awaara
Film/Album: 7 Khoon Maaf
Singer(s): Master Saleem
Music Director: Vishal Bhardwaj
Lyricist: Gulzar
Length: 5:32
Music Label: Sony Music

Lyrics of Awaara Song


Awaara awaara
Awaara awaara awaara
Awaara awaara
Awaara awaara awaara
Hawa pe rakhe sookhe patte, awaara
Hawa pe rakhe sookhe patte, awaara
Paon zameen pe lagte hi udh lete hain dobara
Awaara awaara awaara

Na shaakh jude, na jadh pakde

Na shaakh jude, na jadh pakde
Mausam mausam banjara
Awaara awaara awaara
Awaara awaara awaara

Jhonka jhonka yeh hawa

Hoo jhonka jhonka yeh hawa
Roz udaaye re
Jaaki daar gayi woh toh beet gaya
Jaaki maati gayi waka meet gaya
Koi na bulaaye re
Rut rang liye aayi bhi gayi
Muthiyan na khuli berang rahi
Sookha patta banjara
Awaara awaara awaara
Awaara awaara awaara

Haule haule yeh hawa

Haule haule yeh hawa
Khel khilaaye re
Khole dhoop kabhi, ghole chhaon kabhi
Kabhi pankh bane, bane paon kabhi
Dhool dikhaaye re
Koi thaa na mili na hawa na zameen
Na umeed ugi na dilaasa kahin
Udta jaaye bechara
Awaara awaara awaara ...
===========================================================
Song Details:-
Song Name: Tere Liye
Film/Album: 7 Khoon Maaf
Singer(s): Suresh Wadkar
Music Director: Vishal Bhardwaj
Lyricist: Gulzar
Length: 5:43
Music Label: Sony Music

Lyrics of Tere Liye Song


Tere liye tere liye, tere liye tere liye
Lafzon mein, lamhon ki, doliyan, laaye hain
Lafzon mein, lamhon ki, doliyan, laaye hain, laaye hain
Sheron mein, khushboo ki, boliyan, laaye hain, laaye hain
Humne sau saude kiye, tere liye tere liye

Aankhon mein na chubhe, taaron ki kirchiyan

Sheeshe ka aasma laaye hain, tere liye tere liye
Taare jade, heeron se bhi kitne badey
Humne aasmano mein, lakhon ke saude kiye
Tere liye tere liye, tere liye tere liye

Halki si sardiyan aur saans garam ho

Shaamon ki shawl bhi, thodi si, narm ho
Tere liye kishmish chune, piste chune, tere liye
Humne toh parindo se, baagon ke saude kiye
Tere liye tere liye, tere liye tere liye, tere liye tere liye
=============================================================
Song Details:-
Song Name: Dil Dil Hai
Film/Album: 7 Khoon Maaf
Singer(s): Suraj Jagan
Music Director: Vishal Bhardwaj
Lyricist: Gulzar
Length: 3:06
Music Label: Sony Music

Lyrics of Dil Dil Hai Song


Dil dil hai, dil hai dil dil hai, dil dil hai, dil hai dil - 3 times

Chakme pe chakme, chakme pe chak chak

Dil kabhi masti, dil kabhi mastak
Chakme pe chakme hain, chakme pe chak chak
Dil kabhi masti hai, dil kabhi mastak
Kabhi sargoshi hai, kabhi dastak de re
Kabhi khoon ki garmi, kabhi thandak de re
Maano toh na maano toh, dil dil hai

Dil dil hai, dil hai dil dil hai, dil dil hai, dil hai dil - 3 times


Sau jannato ke kaabil hai (dil dil hai dil hai dil)

Yeh doobton ka sahil hai (dil dil hai dil hai dil)
Yeh doobton ka sahil (dil dil hai dil hai dil)
Yeh jahilon ka jahil (dil dil hai dil hai dil dil)
Yeh aakilon ka aakil (dil dil hai dil hai dil dil)
Sau jannato ke kabil hai, yeh dil hai dil hai dil

Dil dard ki matki, dil jaan ki aafat

Badmashi karke, dikhlaaye sharafat
Dil dard ki matki hai, dil jaan ki aafat
Badmashiyan karke, dikhlaaye sharafat
Jo dil ko chura le, dil uski amanat
Sab ishq ke mujrim, ik dil ki zamanat
Aaye toh na aaye toh, dil dil hai

Dil dil hai, dil hai dil dil hai, dil dil hai, dil hai dil - 3 times


Yeh dil kaande ka dil hai (dil dil hai dil hai dil dil)

Yeh dil kaande ka dil hai (dil dil hai dil hai dil dil)
Sau jannaton ke qabil hai (dil dil hai dil hai dil dil)
Aasu raseed iski, yeh dhadkano ka dil
Dil dil hai, dil hai dil dil hai, dil dil hai, dil hai dil
=================================================================
Song Details:-
Song Name: Yeshu
Film/Album: 7 Khoon Maaf
Singer(s): Rekha Bharadwaj
Music Director: Vishal Bhardwaj
Lyricist: Gulzar
Length: 6:27
Music Label: Sony Music

Lyrics of Yeshu Song


Girje ka gajar sunte ho, yeshu
Phir bhi tum chup rehte ho, yeshu
Girje ka gajar sunte ho, yeshu
Phir bhi tum chup rehte ho, yeshu
Apne chahane walon ko tum kaise chunte ho, yeshu, aaa yeshu
Girje ka gajar sunte ho, yeshu
Phir bhi tum chup rehte ho, yeshu

Kya jism yeh bemaani hai

Kya rooh gareeb hoti hai
Kya jism yeh bemaani hai
Kya rooh gareeb hoti hai
Tum pyaar hi pyaar ho lekin
Kya pyaar saleeb hoti hai
Rui ki tarah iss jism ko tum
Kis liye bunte ho, yeshu, yeshu
Girje ka gajar sunte ho, yeshu
Phir bhi tum chup rehte ho, yeshu

Koi nahin iss waqt yahan

Iss waqt mujhe apnaana
Koi nahin iss waqt yahan
Iss waqt mujhe apnaana
Aagosh mein apni le lo
Phir chaahe jahan le jaana
Uss paar toh koi dard nahin
Bolo na sunte ho, yeshu, yeshu
Girje ka gajar sunte ho, yeshu
Phir bhi tum chup rehte ho, yeshu
Apne chahane walo ko tum kaise chunte ho, yeshu
Girje ka gajar sunte ho, yeshu
Phir bhi tum chup rehte ho, yeshu
=======================================================
Song Details:-
Song Name: Doosri Darling
Film/Album: 7 Khoon Maaf
Singer(s): Usha Uthup, Rekha Bharadwaj, Clinton Cerejo, Francois Castellino
Music Director: Vishal Bhardwaj
Lyricist: Gulzar
Length: 3:04
Music Label: Sony Music

Lyrics of Doosri Darling Song


Yeh mera jalke, mera salaya
Roose (Russia) ko koi mushkil hai
Meri khatir Moscow chhoda
Ishq mein yeh bhi mumkin hai

Darling, aankhon se aankhein chaar karne do

Darling aankhon se aankhein chaar karne do
Roko na roko na mujhko pyaar karne do
Darling aankhon se aankhein chaar karne do
Roko na roko na mujhko pyaar karne do
Bekaif hai bahara, bechain jaane yaara
Bulbulon ko abhi intezaar karne do
Darling aankhon se aankhein chaar karne do

Tuhri baali, ek pahaadi, jisme pariyan rehti thi

Khaaye barpah, milegi tujhko, saari pariyan, kehti thi

Darling, hadim hoon shehjaadi ko tyaar karne do

Bekraar bekraar hai karaar karne do
Dil-e-yaar dil-e-yaar ikhteyar karne do
Darling aankhon se aankhein chaar karne do
Bekaif hai bahara, bechain jaane yaara
Bulbulon ko abhi intezaar karne do
Darling aankhon se aankhein chaar karne do
Roko na roko na mujhko pyaar karne do
Darling aankhon se aankhein chaar karne do
Roko na roko na mujhko pyaar karne do
Darling aankhon se aankhein chaar karne do
===================================================
Song Details:-
Song Name: O' Mama (Acoustic)
Film/Album: 7 Khoon Maaf
Singer(s): K.K
Music Director: Vishal Bhardwaj
Lyricist: Gulzar
Length: 1:50
Music Label: Sony Music

Lyrics of O' Mama - Acoustic Song


Hole bana kar honth bahut paas aaye par
O' Mama, O' Mama
Unke labh hi dekhte reh gaye chai par
O' Mama, O' Mama

Takraaye honthon se phir bhi umeed ho

Koi toh iss tarah aashiq shaheed ho
Koi gaya gaya
O' Mama, O' Mama

O' Mama, kanche maare

Billi jaisi, aankhon wali
Ik myaun si ladki
O' Mama, O' Mama
Unghe kabhi, sunghe kabhi
Jhanke kabhi, aaun kabhi
Kabhi jaaun si ladki
O' Mama, O' Mama
==========================================================

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...