Search This Blog

Monday, May 30, 2011

Murder 2 Lyrics

Song Details:-
Song Name: Haal-e-Dil / Hale Dil
Film/Album: Murder 2
Singer(s): Harshit Saxena
Music Director: Harshit Saxena
Lyricist: Sayeed Qadri
Length: 5:48
Music Label: T-Series

Lyrics of Hale Dil


Hey kaash, kaash yun hota
Har shaam saath tu hota
Chhup jaa dil na yun rotaa
Har shaam saath tu hota

Guzaara ho tere bin guzaara ab muskil hai lagta
Nazaara ho tera hi nazaara ab har din hai lagta

Hale dil tujhko sunaata
Dil agar yeh bol paata
Bakhuda tujhko hai jaata jaan

Tere sang jo pal bitaata
Waqt se main woh maang laata
Yaad karke muskuraata haan
Woo oo ..

Tu meri raah ka sitaara
Tere bina hoon main awaara
Jab bhi tanhai ne sataaya
Tujhko besaakhta pukaara

Aa ja hathe meri la fanaa
Par meri jaan dil mein hoon rakhta haan

Hale dil tujhko sunaata
Dil agar yeh bol paata
Bakhuda tujhko hai jaata jaan

Tere sang jo pal bitaata
Waqt se main woh maang laata
Yaad karke muskuraata haan
Woo oo ..

You're the one ..
I love whats meant to be
I know you feel it too , I look at you

Khwaabon ka kab tak loon sahara
Ab toh tu aaja khudara
Meri dono paagal aankhein
Har pal maange tera nazaara
Aa samjaun inko kis tarah
Inpe mera bas nahin chalta haan

Haal-e-dil tujhko sunaata
Dil agar yeh bol paata
Bakhuda tujhko hai jaata jaan

Tere sang jo pal bitaata
Waqt se main woh maang laata
Yaad karke muskuraata haan
Woo oo ..
------------------------------

Song Details:-
Song Name: Aa Zara
Film/Album: Murder 2
Singer(s): Sunidhi Chauhan
Music Director: Sangeet Haldipur, Siddharth Haldipur
Lyricist: Kumaar
Length: 4:58
Music Label: T-Series

Lyrics of Aa Zara


Yeh raat ruk jaaye, baat tham jaaye, teri baahon mein
Khwaishein jagi hain pyaasi pyaasi labhon pe
Khud ko jala doon, teri aanhon mein
Aagosh mein aaj mere samaa ja
Jaane kya hona hai kal
Aa zara kareeb se, jo pal mile naseeb se
Aa ja zara kareeb se, jo pal mile naseeb se, jee le

Yeh jahaan saara bhool kar
Jismo ke saaye tale dheeme dheeme chale raat bhar
Pal do pal hum hai humsafar
Thay abhi dono yahaan honge subah jaane kahan kya khabar
Aa ja zara khud ko mujh mein milaa ja
Jaane kya hona hai kal
Aa zara kareeb se, jo pal mile naseeb se
Aa ja zara kareeb se, jo pal mile naseeb se, jee le

Khwaab hoon main toh makhmali
Palkon mein leja mujhe maine diya mauka tujhe ajnabi
Hosh mein aaye na abhi
Ik dooje mein hi kahin khoyi rahe teri meri zindagi
Khamoshiyan dhadkano ki sunaa ja
Jaane kya hona hai kal
Aa zara kareeb se, jo pal mile naseeb se, aa ja
Jo pal mile naseeb se
Raat ruk jaaye, teri baahon mein
Aagosh mein aaj mere samaa ja
Jaane kya hona hai kal
Aa zara kareeb se, jo pal mile naseeb se
Aa zara kareeb se, jo pal mile naseeb se, jee le
-------------------------------------------------
Song Details:-
Song Name: Aye Khuda
Film/Album: Murder 2
Singer(s): Kshitij Tarey, Saim, Mithoon
Music Director: Mithoon
Lyricist: Mithoon
Length: 6:52
Music Label: T-Series

Lyrics of Aye Khuda


Kaisi khala yeh dil mein basi hai
Ab toh khataayein firat hi si hai
Main hi hoon woh jo rehmat se gira
Aye khuda, gir gaya, gir gaya
Main jo tujhse door hua
Lutt gaya, lutt gaya
Aye khuda, gir gaya, gir gaya
Main jo tujhse door hua
Lutt gaya, lutt gaya

Kaisi khala yeh dil mein basi hai
Ab toh khataayein firat hi si hai
Main hi hoon woh jo rehmat se gira
Aye khuda, gir gaya, gir gaya
Main jo tujhse door hua
Lutt gaya, lutt gaya
Aye khuda, aye khuda ..

Itni khataayein tu le kar chala hai
Daulat hi jaise tera ab khuda
Har pal bitaaye jaise tu hawa hai
Gunah ke saaye mein chalta raha
Samandar sa beh kar tu chalta hi gaya
Teri marzi poori ki, tune har dafaa
Tu hi tera mujrim bandeya
Aye khuda, gir gaya, gir gaya
Main jo tujhse door hua
Lutt gaya, lutt gaya

Kyun judta iss jahaan se tu
Ik din yeh guzar hi jaayega
Kitna bhi samayet le yahaan
Mukti se fisal hi jaayega

Har shaksh hai dhool se bana
Aur phir uss mein hi ja mila
Yeh haqeeqat hai tu jaan le
Kyun sacch se munh hai pherta

Chaahe jo bhi hasrat poori kar le
Rukeygi na fitrat yeh samajh le
Mitt jaayegi teri hassti

Barh na paayega yeh dil bandeya
Aye khuda, gir gaya, gir gaya
Main jo tujhse door hua
Lutt gaya, lutt gaya

Agar tu soche tu hai gira
Mere haath ko thaam uth zara
Tere dil ke dar pe hoon khada
Mujhko apna le tu zara

Tu kahe tu hai saaye se girah
Teri raahon ka main noor hoon
Tere gunah ko khud pe le liya
Meri nazaron mein bekasoor tu

Aisa koi manzar tu dikhla de
Mujhe koi shaksh se milwa de
Aise koi dil se tu sunwa de
Ke zakhm koi usse na milaa
Aye khuda, gir gaya, gir gaya
Main jo tujhse door hua
Lutt gaya, lutt gaya
----------------------------------------
Song Details:-
Song Name: Phir Mohabbat
Film/Album: Murder 2
Singer(s): Mohd Irfan, Arijit, Saim
Music Director: Mithoon
Lyricist: Sayeed Qadri
Length: 5:31
Music Label: T-Series

Lyrics of Phir Mohabbat


Jab jab tere paas main aaya, ik sukoon mila
Jise main tha bhoolta aaya, woh wajood mila
Jab aaye mausam gham ke, tujhe yaad kiya
Jab sehme tanha pann se, tujhe yaad kiya
Dil, sambhal ja zara
Phir mohabbat karne chala hai tu
Dil, yenhi ruk ja zara
Phir mohabbat karne chala hai tu

Aisa kyun kar hua, jaanu na main jaanu na
Dil, sambhal ja zara
Phir mohabbat karne chala hai tu
Dil, yenhi ruk ja zara
Phir mohabbat karne chala hai tu

Jis raah pe, hai ghar tera
Aksar wahan se haan main hoon guzra
Shayad yahin, dil mera haan
Tu mujkho mil jaaye kya pataa
Kya hai yeh silsila, jaanu na main jaanu na
Dil, sambhal ja zara
Phir mohabbat karne chala hai tu
Dil, yenhi ruk ja zara
Phir mohabbat karne chala hai tu

Kucch bhi nahin, jab darmiyaan
Phir kyun hai dil tere hi khwaab bunta
Chaaha ki de, tujhko bhulaa
Par yeh bhi mumkin ho na saka

Kya hai yeh maamla, jaanu na main jaanu na
Dil, sambhal ja zara
Phir mohabbat karne chala hai tu
Dil, yenhi ruk ja zara
Phir mohabbat karne chala hai tu
Dil, sambhal ja zara
Phir mohabbat karne chala hai tu
------------------------------------
Song Details:-
Song Name: Tujhko Bhulaana
Film/Album: Murder 2
Singer(s): Sangeet Haldipur, Roshni Baptist
Music Director: Sangeet Haldipur, Siddharth Haldipur
Lyricist: Sayeed Qadri
Length: 3:42
Music Label: T-Series

Lyrics of Tujhko Bhulaana


Tujhko bhulaana
Aasu na laana
Ab aa gaya
(go away, stay away, this is our realty ..)

Tujhko bhulaana
Aasu na laana
Aur muskuraana
Ab aa gaya, ab aa gaya

Yaadon se teri, daaman chhudaana
Dil na dukhaana, ab aa gaya, ab aa gaya

Sunn bewafa yeh, taiy kar liya
Reh lenge hum tere bin

Hey ab dard bhi kya hai, humko bhala
Raat aa gayi hai, tere mere darmiyaan ka jo hai faasla
Yaadon se teri, daaman chhudaana
Dil na dukhaana, ab aa gaya

Dil ke makaan se tu jaa chuka
Iss mein nahin tu ab raha

Meri dua mein, tu ab kahan
Tu ajnabi hai, tune inn mein rehne ka hai haqq kho diya

Tujhko bhulaana
Aasu na laana na laana
Aur muskuraana
Ab aa gaya

Hey yaadon se teri, daaman chhudaana
Dil na dukhaana, ab aa gaya, ab aa gaya, ab aa gaya
-----------------------------------------------------

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...